lipaT rahī haiñ jo tujh se duā.eñ merī haiñ
havā kā shor nahīñ hai sadā.eñ merī haiñ
kisī bhī raah se tum aa sako to aa jaanā
ki shahr merā hai saarī dishā.eñ merī haiñ
uḌā rahe ho yahāñ jin kī dhajjiyāñ tum bhī
ye jaan lo ki vo saarī ridā.eñ merī haiñ
mujhe to gaañv kī miTTī hai jaan se bhī aziiz
vahāñ kī galiyoñ meñ kyā kyā adā.eñ merī haiñ
tumheñ to chāñdnī ban kar fazā meñ ghulnā hai
shab-e-siyāh kī saarī balā.eñ merī haiñ
pahan ke jis ko haiñ aġhyār surḳh-rū 'anjum'
vo sādgī se muzayyan qabā.eñ merī haiñ