bahut ho yā zarā sā māñgne do
mujhe bhī apnā hissa māñgne do
añdheroñ se agar laḌnā hai lāzim
to jugnū bhar ujālā māñgne do
bharam khul jā.egā us ke bharam kā
ḳhushī kā ek lamha māñgne do
ḳhudā kyā hai dikhā dūñgā tumheñ bhī
kisī patthar se chehra māñgne do
zarūrat hai mujhe bhī ham-safar kī
havā se ik bagūlā māñgne do
bahut nādān lagtā hai musāfir
use sahrā se dariyā māñgne do
'asar' mañjdhār meñ chaltā huuñ maiñ bhī
kahīñ se ek tinkā māñgne do