Izhar Asar

ek suraj ka kya zikr hai kahkashaen chalin

Izhar Asar

1929
ek sūraj kā kyā zikr hai kahkashā.eñ chalīñ
maiñ chalā to mire saath saarī dishā.eñ chalīñ
aage aage junūñ thā mirā gard uḌātā huā
pīchhe pīchhe mire āñdhiyoñ kī balā.eñ chalīñ
koī zanjīr TuuTī thī yā dil kī āvāz thī
dā.ere se banā.ī huī kyuuñ sadā.eñ chalīñ
maiñ chalā to har ik chiiz Thahrī huī sī lagī
maiñ rukā to ye dhartī chalī ye fazā.eñ chalīñ
ik shahādat-numā tishnagī thī muqaddar mirā
maiñ jidhar bhī gayā saath meñ karbalā.eñ chalīñ
jaane kis ke rasīle laboñ ke mahak laa.ī thiiñ
zaḳhm āvāz dene lage jab havā.eñ chalīñ
un se milne kā manzar bhī dil-chasp thā ai 'asar'
is taraf se bahāreñ chalīñ aur udhar se ḳhizā.eñ chalīñ
Top Urdushayar.com