Izhar Asar

sofar-e-tasawwur hai sitaron ka hadaf hai

Izhar Asar

1929
sofār-e-tasavvur hai sitāroñ kā hadaf hai
hai fāteh aflāk ye insāñ kā sharaf hai
ik lamha-e-taḳhlīq kī aahaT hai kahīñ par
motī koī niklegā abhī band sadaf hai
tū bhī to haTā jism ke sūraj se añdhere
ye mahkī huī raat bhī mahtāb-ba-kaf hai
jis lafz pe sar apne kaTā.e shohdā ne
tārīkH-e-siyāsat se vahī lafz hazf hai
har samt farishte haiñ ki tarshe hue patthar
is bhiiḌ meñ insāñ ke liye bhī koī saf hai
Top Urdushayar.com