Izhar Asar

mera junun hi asl mein sahra-parast tha

Izhar Asar

1929
merā junūñ hī asl meñ sahrā-parast thā
varna bahār kā bhī yahāñ bandobast thā
aayā shu.ūr-e-zīst to ifshā huā ye raaz
tere kalām-e-fan kī maiñ pahlī shikast thā
auroñ ne kar liye the añdheroñ se faisle
ik maiñ hī saare shahr meñ sūraj-ba-dast thā
ik chīḳhte sukūt ne chauñkā diyā mujhe
maiñ varna apne haal meñ muddat se mast thā
ā.īna jab dikhāyā to ye raaz bhī khulā
jitnā bhī jo buland thā utnā hī past thā
taḳhlīq-e-kul ke lamha-e-avval meñ ai 'asar'
maiñ zindagī kī pahlī humak pahlī jast thā
Top Urdushayar.com