pahuñch kar shab kī sarhad par ujālā Duub jaatā hai
na ho jis kā koī vo be-sahārā Duub jaatā hai
jise gaatā hai koī barabt-e-sad-chāk-dāmāñ par
fazā-e-be-yaqīnī meñ vo naġhma Duub jaatā hai
yahāñ to dil kī bāteñ haiñ hamārā tajraba hai ye
jo sat.h-e-āb par rakhiye to paisa Duub jaatā hai
ta.alluq der se mazbūt kartā hai jaḌeñ apnī
zarā sī chuuk se sadiyoñ kā rishta Duub jaatā hai
tirī yādoñ kī duniyā se kabhī jo duur hotā huuñ
udāsī gher letī hai nazārā Duub jaatā hai
na jaane kyā ho tere shahr meñ ab jā ke dekhūñgā
yahāñ to apnī qismat kā sitāra Duub jaatā hai
ubal paḌtā hai aafat kā kahīñ laavā to phir 'anjum'
ġham-o-andoh meñ ma.asūm chehra Duub jaatā hai