Izhar Asar

ek hi shai thi ba-andaz-e-digar mangi thi

Izhar Asar

1929
ek hī shai thī ba-andāz-e-digar māñgī thī
maiñ ne bīnā.ī nahīñ tujh se nazar māñgī thī
tū ne jhulsā diyā jaltā huā sūraj de kar
ham ne jiine ke liye ek sahar māñgī thī
ham-safar kis ko kaheñ shams o qamar ne ham se
muñh pe malne ke liye gard-e-safar māñgī thī
kaun aazar hai jise apnā ziyāñ hai maqsūd
kis ne patthar ke liye rūh-e-bashar māñgī thī
ek lamha koī jī le to baḌī baat hai ye
is liye ham ne 'asar' umr-e-sharar māñgī thī
Top Urdushayar.com