ye dāstāñ hai shahīdoñ kī ḳhūñ-chakīdā hai
qalam bhī dast-e-muarriḳh meñ sar-burīda hai
hayāt aisī zuleḳhā ki aaj kā yūsuf
gunāh-gār hai aur pairahan-darīda hai
lahū jalāo charāġhoñ meñ raushnī ke liye
hamāre daur kā sūraj to shab-gazīda hai
dabā dabā sā ye tūfāñ ghaTī ghaTī halchal
havāoñ meñ koī paiġhām nā-rasīda hai
tamām maz.har-e-fitrat tire ġhazal-ḳhvāñ haiñ
ye chāñdnī bhī tire jism kā qasīda hai
na bujh sakegī mirī pyaas āñsuoñ se 'asar'
ye abr kyuuñ mirī hālat pe āb-dīda hai