nikhre to jagmagā uThe bikhre to rañg hai
sūraj tire badan kā baḌā shoḳh o shañg hai
tārīkiyoñ ke paar chamaktī hai koī shai
shāyad mire junūn-e-safar kī umañg hai
kitne ġhamoñ kā baar uThā.e hue hai dil
ik zāviye se shīsha-e-nāzuk bhī sañg hai
sahrā kī god meñ bhī mileñge bahut se phuul
ye apne apne taur pe jiine kā Dhañg hai
shāyad junūñ hī ab to kare rahbarī 'asar'
ham us maqām par haiñ jahāñ aql dañg hai