isī āshiqī meñ paiham huī ḳhānumāñ-ḳharābī
dil-e-mubtalā kī ab tak hai vahī junūñ-ma.ābī
rahe soz-e-ishq lekin ga.e hosh phir na aa.eñ
vo tajalliyoñ se pur hai tirī chashm kī gulābī
hameñ tum ab apnī mahfil meñ bulā ke kyā karoge
na vo josh-e-bāryābī na vo hosh-e-kāmyābī
jo sune to daad mumkin hai magar bhalā sune kyuuñ
merī bebasī ke shikve tirā husn-e-lā-javābī
magar itnī sādgī bhī to bajā.e ḳhud adā hai
ba-ḳhayāl-e-parda-dārī ba-jamāl-e-āftābī
mirī aarzū nigāhī ne sitam kiyā sikhā kar
tire is shabāb-e-rañgīñ ko mazāq-e-be-hijābī
koī hoshyār kyūñkar ise dilbarī meñ jaane
ye nazar ki jo ba-zāhir hai shuā-e-nīm-ḳhvābī
na sahī 'suhā' ki aalam pe ho āshkār varna
mirī ḳhāksāriyoñ meñ hai shikva-e-bū-turābī