pahle-pahal laḌeñge tamasḳhur uḌā.eñge
jab ishq dekh leñge to sar par biThā.eñge
tū to phir apnī jaan hai terā to zikr kyā
ham tere dostoñ ke bhī naḳhre uThā.eñge
'ġhālib' ne ishq ko jo dimāġhī ḳhalal kahā
chhoḌeñ ye ramz aap nahīñ jaan pā.eñge
parkheñge ek ek ko le kar tumhārā naam
dushman hai kaun dost hai pahchān jā.eñge
qibla kabhī to tāza-suḳhan bhī kareñ atā
ye chār-pāñch ġhazleñ hī kab tak sunā.eñge
aage to aane dījiye rasta to chhoḌiye
ham kaun haiñ ye sāmne aa kar batā.eñge
ye ehtimām aur kisī ke liye nahīñ
ta.ane tumhāre naam ke ham par hī ā.eñge