man jis kā maulā hotā hai
vo bilkul mujh sā hotā hai
āñkheñ hans kar pūchh rahī haiñ
niiñd aane se kyā hotā hai
miTTī kī izzat hotī hai
paanī kā charchā hotā hai
jāntā huuñ mansūr ko bhī maiñ
apne hī ghar kā hotā hai
achchhī laḌkī zid nahīñ karte
dekho ishq burā hotā hai
vahshat kā ik gur hai jis meñ
qais apnā bachcha hotā hai
ba.az-auqāt mujhe duniyā par
duniyā kā bhī shub.h hotā hai
tum mujh ko apnā kahte ho
kah lene se kyā hotā hai