ḳhvāb kā ḳhvāb haqīqat kī haqīqat samjheñ
ye samajhnā hai to phir pahle tarīqat samjheñ
maiñ javāban bhī jinheñ gaalī nahīñ detā vo log
merī jānib se ise ḳhaas mohabbat samjheñ
maiñ to mar kar bhī na bechūñgā kabhī yaar kā naam
aap tājir haiñ numā.ish ko ibādat samjheñ
maiñ kisī beach ke raste se nahīñ pahuñchā yahāñ
hāsidoñ se ye guzārish hai riyāzat samjheñ
merā be-sāḳhta-pan un ke liye ḳhatra hai
sāḳhta log mujhe kyuuñ na musībat samjheñ
facebōk vaqt agar de to ye pyāre bachche
apne ḳhāmosh buzurgoñ kī shikāyat samjheñ
pesh kartā huuñ maiñ ḳhud apnī giraftārī 'alī'
un se kahnā ki mujhe zer-e-hirāsat samjheñ