Ali Zaryoun

ada-e-ishq hun puri ana ke sath hun main

Ali Zaryoun

1983
adā-e-ishq huuñ puurī anā ke saath huuñ maiñ
ḳhud apne saath huuñ ya.anī ḳhudā ke saath huuñ maiñ
mujāvarān-e-havas tañg haiñ ki yuuñ kaise
baġhair sharm-o-hayā bhī hayā ke saath huuñ maiñ
safar shurūa to hone de apne saath mirā
tū ḳhud kahegā ye kaisī balā ke saath huuñ maiñ
maiñ chhū gayā to tirā rañg kaaT Dālūñgā
so apne aap se tujh ko bachā ke saath huuñ maiñ
durūd-bar-dil-e-vahshī salām-bar-tap-e-ishq
ḳhud apnī hamd ḳhud apnī sanā ke saath huuñ maiñ
yahī to farq hai mere aur un ke hal ke biich
shikāyateñ haiñ unheñ aur razā ke saath huuñ maiñ
maiñ avvalīn kī izzat meñ āḳhirīn kā nuur
vo intihā huuñ ki har ibtidā ke saath huuñ maiñ
dikhā.ī duuñ bhī to kaise sunā.ī duuñ bhī to kyuuñ
varā-e-naqsh-o-navā huuñ fanā ke saath huuñ maiñ
ba-hukm-e-yār laveñ qabz karne aatī hai
bujhā rahī hai? bujhā.e havā ke saath huuñ maiñ
ye sābirīn-e-mohabbat ye kāshifīn-e-junūñ
inhī ke sañg inhīñ auliyā ke saath huuñ maiñ
kisī ke saath nahīñ huuñ magar jamāl-e-ilāha
tirī qism tire har mubtalā ke saath huuñ maiñ
zamāne bhar ko patā hai maiñ kis tarīq pe huuñ
sabhī ko ilm hai kis dil-rubā ke saath huuñ maiñ
munāfiqīn-e-tasavvuf kī maut huuñ maiñ 'alī'
har ik asiil har ik be-riyā ke saath huuñ maiñ
Top Urdushayar.com