Suha Mujaddadi

jo kuchh hua so hua ab sawal hi kya hai

Suha Mujaddadi

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1892-1947
jo kuchh huā so huā ab savāl hī kyā hai
bayān haal karūñ mujh meñ haal hī kyā hai
kuchh aur chāhtī hai un se shorish-e-ulfat
huā ḳhayāl to aisā ḳhayāl hī kyā hai
zamāna chāhiye vo e'tirāf-e-shauq kareñ
abhī ye roz o shab o maah o saal hī kyā hai
kisī ḳhayāl meñ bas zindagī guzar jaa.e
ġham-e-firāq o ummīd-e-visāl hī kyā hai
burā kiyā na kareñge kabhī sitam kā gila
huzūr duur hī kar deñ malāl hī kyā hai
qarār dil ko mayassar nahīñ kahīñ jaao
nazar-farebi-e-husn-o-jamāl hī kyā hai
vo sāmne haiñ magar husn is ko kahte haiñ
koī nazar to uThā.e majāl hī kyā hai
baḌā kamāl kiyā bhī to chhū liyā dāman
darāz-dasti-e-dast-e-savāl hī kyā hai
hue vo ham se pashīmāñ 'suhā' karam un kā
vagarna ārzu-e-pā.emāl hī kyā hai
Top Urdushayar.com