har ik ke dukh pe jo ahl-e-qalam taḌaptā thā
ḳhud us kā apnā har ik dard us pe hañstā thā
maiñ aaj kyuuñ tah-e-dāmāñ bhī jal nahīñ saktā
mirā hī sho.ala havāoñ pe kal lapaktā thā
zamāne-bhar kī adāoñ ko sah rahā huuñ aaj
kabhī maiñ apnī adāoñ se bhī bigaḌtā thā
vo merī shakl se bezār ho rahā hai aaj
jo shaḳhs kal mirī āvāz ko tarastā thā
tamām shab jise baḳhshe the reshmī gesū
sahar huī to vo sar daar par laTaktā thā
mirī giraft meñ kaun-o-makāñ kī baag thī jab
mirā vajūd mirī ruuh se laraztā thā
har ik se Dartā huuñ maiñ aaj ik ḳhudā ke sivā
kabhī vo din the ki bas ik ḳhudā se Dartā thā
lo aaj tū ne bhī dīvāna kah diyā mujh ko
tire hī dil meñ to merā suḳhan utartā thā
ye kyā kiyā mujhe merī nazar se chhīn liyā
usī lahū se charāġh-e-vajūd jaltā thā
kisī sitam meñ bhī ik raunaq-e-ta.alluq hai
vagarna yuuñ to maiñ tanhā.iyoñ meñ Dhaltā thā
tirā sambhalnā bhī girnā hai in dinoñ 'dārā'
kahāñ vo din ki tū girne meñ bhī sambhaltā thā