Zahid Chaudhry

chala hun ghar se main ahwal-e-dil sunane ko

Zahid Chaudhry

Amritsar, Punjab, India

1922-1985
chalā huuñ ghar se maiñ ahvāl-e-dil sunāne ko
vo muntazir haiñ mirā zabt āzmāne ko
raqīb saath hai aur zer-e-lab tabassum hai
ajab tarah se vo aayā hai dil dukhāne ko
agarche bazm-e-tarab meñ havas kā ġhalba hai
maiñ aa gayā huuñ mohabbat ke giit gaane ko
maiñ jā rahā huuñ vahāñ jabki az-rahe-tafrīh
sajī hai bazm mirā shauq āzmāne ko
ravish ravish meñ hai afsurdagī kī afzā.ish
vo phir bhī nikle haiñ tafrīh-e-gul manāne ko
junūn-e-ishq mirā jabki ik haqīqat hai
alag karūñgā maiñ is ishq se fasāne ko
maiñ chāhtā thā mirā ishq ek raaz rahe
vo aa gayā to ḳhabar ho ga.ī zamāne ko
vo jin se mujh ko tavaqqo thī pāsbānī kī
vo aa ga.e haiñ mirā āshiyāñ jalāne ko
janāb-e-shaiḳh kī ye vo ruḳhī ma.āz-allāh
huī hai shab to chale haiñ sharāb-ḳhāne ko
rah-e-hayāt meñ bahrūpiyoñ se vāqif huuñ
jo ġham-gusār bane merā dil dukhāne ko
jo be-ḳhabar haiñ sarāpā vo phir rahe haiñ aaj
qadam qadam pe na.ī dāstāñ sunāne ko
jidhar nigāh uThāo ravāñ hai ḳhūn-e-jigar
ḳhabar nahīñ ki ye kyā ho gayā zamāne ko
Top Urdushayar.com