chal diyā vo us tarah mujh ko pareshāñ chhoḌ kar
mausam-e-gul jaise jaa.e hai gulistāñ chhoḌ kar
go bharosā hai mujhe apne ḳhulūs-e-shauq par
kaun aa.egā yahāñ jashn-e-bahārāñ chhoḌ kar
vo jo apne saath laayā thā gulistāñ kī bahār
jā rahā hai ab kahāñ vo ghar ko vīrāñ chhoḌ kar
yuuñ lagā mujh ko ki goyā hashr barpā ho gayā
yak-ba-yak vo chal diyā merā shabistāñ chhoḌ kar
mujh ko shauq-e-husn meñ tahzīb hāzir chāhiye
gulistāñ meñ aa gayā huuñ maiñ bayābāñ chhoḌ kar
lāla-o-gul meñ ayaañ haiñ husn-e-fitrat ke rumūz
mutma.in huuñ ishq meñ dasht-o-bayābāñ chhoḌ kar
yuuñ sar-e-mahfil vaqār-e-husn ko rusvā na kar
us kā dāman thaam le apnā garebāñ chhoḌ kar
jī rahā huuñ rashk ke māhaul meñ kuchh is tarah
jis tarah yūsuf gayā thā arz-e-kan.āñ chhoḌ kar
maiñ ne ḳhud us ke tasavvur ko bulāyā hai yahāñ
ab nahīñ jā.ūñgā bāhar ghar meñ mehmāñ chhoḌ kar
ho gayā paidā nizām-e-gul meñ behad intishār
jab gayā gulshan meñ vo zulfeñ pareshāñ chhoḌ kar
sozish-e-ulfat mujhe matlūb hai bahr-e-hayāt
ho gayā huuñ mutma.in maiñ rasm-e-darmāñ chhoḌ kar
kis qadar zabt-e-junūñ ne kar diyā hai hoshiyār
dāman-e-ummīd thāmā hai garebāñ chhoḌ kar
maiñ talāsh-e-husn se aisā huā huuñ munsalik
jā rahā huuñ zindagī kā sāz-o-sāmāñ chhoḌ kar