chaman meñ sair-e-gul ko jab kabhī vo mah-jabīñ nikle
mirī tār-e-rag-e-jāñ se sadā-e-āfrīñ nikle
samajh jaatā huuñ fauran kyā hai matlab lan-tarānī kā
mirī ḳhvāhish pe jab parde se vo parda-nashīñ nikle
falak ne jab kiyā hamla mirī shāḳh-e-nasheman par
jo dushman sāmne aa.e vo apne ham-nashīñ nikle
vo jin se shahd māñgā thā unhoñ ne zahr de Daalā
jinheñ samjhā thā maiñ hamdam vo mār-e-āstīñ nikle
maiñ jab un dostoñ kī be-ruḳhī par ġhaur kartā huuñ
mire ġham-ḳhāna-e-dil se fugān-e-ātishīñ nikle
tirī mahfil meñ har bahrūpiye kā hai maqām ūñchā
haqīqat meñ jo ahl-e-dil haiñ vo uzlat-guzīñ nikle
faroġh-e-ilm-e-be-qadrī kī hālat meñ nahīñ mumkin
ḳhas-o-ḳhāshāk hone ko sadaf se kyuuñ nagīñ nikle
jinhoñ ne khet lahrā.e haiñ apne ḳhuuñ pasīne se
ajab turfa hai vo mardān-e-mehnat be-zamīñ nikle
guzāre maiñ ne jo lamhāt āġhosh-e-tasavvur meñ
vo merī zindagī ke roz-o-shab meñ behtarīñ nikle
maiñ apnī ābrū-mandī meñ pā-mardī kā paikar huuñ
maiñ vo aadam nahīñ jo chhoḌ kar ḳhuld-e-barīñ nikle
vo mai-noshī meñ karte haiñ imāmat but-parastoñ kī
janāb-e-shaiḳh mai-ḳhāne meñ bhī masnad-nashīñ nikle