vo āftāb meñ hai aur na māhtāb meñ hai
jo raushnī ki tire husn-e-be-naqāb meñ hai
chaman meñ lāla-o-gul sharmsār hote haiñ
ajab tarah kā asar husn-e-be-naqāb meñ hai
maiñ apne ishq-e-farāvāñ pe naaz kartā huuñ
mirā kamāl mire husn-e-intiḳhāb meñ hai
ujaḌ gayā hai mirā gulshan-e-hayāt magar
junūn-e-shauq mirā ālam-e-shabāb meñ hai
najāt us kī ba-juz āshiqī nahīñ hogī
phañsā huā jo zamāne ke pech-o-tāb meñ hai
vo bazm-e-shauq meñ shāmil kabhī nahīñ hogā
jo bevaqūf ki uljhā huā hisāb meñ hai
vo valvala hai mirī zindagī kī rūh-e-ravāñ
jo valvala ki mire shauq-e-be-hisāb meñ hai
vo be-naqāb kiyā jiddat-e-taḳhayyul ne
jo rāz-e-kohna rivāyāt ke naqāb meñ hai
ma.āl-e-josh-e-amal sar-bulandī-e-qatra
ye rāz-e-zīst nihāñ ḳhema-e-habāb meñ hai
sukūt meñ hai zamāne kī maut poshīda
hayāt vo hai jo har lahza iztirāb meñ hai
mujhe qubūl nahīñ roz-o-shab kī ḳhāmoshī
mirī hayāt faqat shor-e-inqalāb meñ hai