Suha Mujaddadi

uThiye to kahan jaiye jo kuchh hai yahin hai

Suha Mujaddadi

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1892-1947
uThiye to kahāñ jā.iye jo kuchh hai yahīñ hai
bāhar tire ghar ke to na duniyā hai na diiñ hai
ham haiñ ki sar-e-naqsh-e-qadam saikḌoñ sajde
vo hai ki jahāñ dekhiye bas chīñ-ba-jabīñ hai
sahrā meñ phirātī hai mujhe ḳhāna-ḳharābī
ye DhūñD rahā huuñ ki mirā ghar bhī yahīñ hai
aatī nahīñ nazdīk ḳhayāloñ ke ye duniyā
vo bazm bhī yā rab koī firdaus-e-barīñ hai
tā hadd-e-taḳhayyul faqat ik jalva hai yā dil
duniyā meñ hamārī na falak hai na zamīñ hai
jī bhar ke zarā dekh to leñ husn ke jalve
phir kis ko unheñ chhoḌ ke jiine kā yaqīñ hai
vo dard-e-darūñ jism meñ yuuñ phail gayā hai
paḌtā hai jahāñ haath samajhtā huuñ yahīñ hai
rahtā huuñ 'suhā' ahl-e-haram meñ bhī numāyāñ
hote haiñ ishāre ye ḳharābāt-nashīñ hai
Top Urdushayar.com