go mubtalā-e-gardish-e-shām-o-sahar huuñ maiñ
phir bhī dayār-e-ishq meñ chīz-e-digar huuñ maiñ
maiñ chāhtā huuñ jis ko vo dilbar tum hī to ho
tum DhūñDte ho jis ko vo ahl-e-nazar huuñ maiñ
pīr-e-haram kā qaul hai maiñ shab-gazīda huuñ
pīr-e-muġhāñ kī raa.e meñ nūr-e-sahar huuñ maiñ
ahl-e-chaman kī kashmakash-e-rozgār kī
tārīkī-e-hayāt meñ misl-e-qamar huuñ maiñ
raushan mire vajūd se sarv-o-saman hue
sehn-e-chaman ke vāste nūr-e-sahar huuñ maiñ
maiñ māntā nahīñ ki vo ġhaflat-shi.ār hai
rasm-e-vafā ke zer-e-asar kis qadar huuñ maiñ
ummīd kar rahā huuñ maiñ takmīl-e-shauq kī
kis ko batā.ūñ kis qadar āshufta-sar huuñ maiñ
go maiñ rah-e-hayāt meñ be-dast-o-pā huā
phir bhī muhīt-e-ishq meñ mahv-e-safar huuñ maiñ
merā muqābla nahīñ parvāz-e-fikr meñ
hālāñki josh-e-ishq meñ be-bāl-o-par huuñ maiñ
arz-o-samā ke rāz-e-darūñ se huuñ āshnā
goyā sharīk-e-mahfil-e-shams-o-qamar huuñ maiñ
mujh ko ḳhabar hai kyā hai pas-e-parda-e-namāz
go shaiḳh kā ḳhayāl hai ki be-ḳhabar huuñ maiñ