Zahid Chaudhry

wo bahr-o-bar mein nahin aur na aasman mein hai

Zahid Chaudhry

Amritsar, Punjab, India

1922-1985
vo bahr-o-bar meñ nahīñ aur na āsmāñ meñ hai
jo rāz-e-zīst mire shauq-e-be-karāñ meñ hai
mujhe qarār ba-juz shauq-e-be-qarār nahīñ
sukūn-e-zīst mujhe shoḳhī-e-butāñ meñ hai
mujhe qubūl nahīñ aisā rāz-e-sar-basta
jo chashm-e-aql se poshīda lā-makāñ meñ hai
mirī hayāt faqat justujū-e-paiham hai
mirā maqām sitāroñ ke kārvāñ meñ hai
maiñ āsmāñ meñ sitāroñ kī sair kartā huuñ
ye kyā surūr tire sañg-e-āstāñ meñ hai
mire vajūd meñ pinhāñ hai gauhar-e-yaktā
mirā vajūd nihāñ bahr-e-be-karāñ meñ hai
chaman meñ jabki nasheman banā chukā huuñ maiñ
ajab tarah kī chamak chashm-e-āsmāñ meñ hai
mire kalām se aayā hai barg-e-gul pe nikhār
mire nafas kī mahak saare gulistāñ meñ hai
vo lutf-e-zīst jo hai tund-o-tez tūfāñ meñ
vo shāḳh-e-gul pe nahīñ aur na āshiyāñ meñ hai
vo soz-o-sāz-e-haqīqat se āshnā hogī
vo zindagī jo hama-vaqt imtihāñ meñ hai
har ek lahza hai ik taaza valvala darkār
ajab tarah kā maza bahr-e-be-karāñ meñ hai
vo merī quvvat-e-īmāñ kī ik alāmat hai
jo shor-e-hashr bapā bazm-e-dushmanāñ meñ hai
Top Urdushayar.com