Zahid Chaudhry

jab aashiqi mein mera koi raaz-dan nahin

Zahid Chaudhry

Amritsar, Punjab, India

1922-1985
jab āshiqī meñ merā koī rāz-dāñ nahīñ
aisī lagī hai aag ki jis kā dhuāñ nahīñ
go maiñ sharīk-e-bazm sar-e-āsmāñ nahīñ
vo raaz kaun sā hai jo mujh par ayaañ nahīñ
maiñ sochtā huuñ ziist meñ nākām ho gayā
mere ḳhulūs-e-shauq kā jab imtihāñ nahīñ
merā maqām ishq-e-butāñ meñ hai be-misāl
go maiñ rahīn-e-minnat-e-pīr-e-muġhāñ nahīñ
vo āshiqī nahīñ hai koī kārobār hai
jis āshiqī meñ garmī-e-soz-e-nihāñ nahīñ
maiñ soz-o-sāz-e-shauq meñ had se guzar gayā
ab is safar meñ merā koī kārvāñ nahīñ
merī navā-e-ġham meñ hai shāmil fuġhān-e-gul
kaise kahūñ chaman meñ koī ham-zabāñ nahīñ
ma.amūr ho gayā hai vo soz-e-hayāt se
jo mubtalā-e-gardish-e-kaun-o-makāñ nahīñ
shauq-e-safar meñ valvala-e-dil nahīñ rahā
dushman rah-e-hayāt meñ jab āsmāñ nahīñ
Top Urdushayar.com