sāġhar kyuuñ ḳhālī hai mirā ai saaqī tire maiḳhāne meñ
phir Daal de ulfat kī nazreñ ik baar mire paimāne meñ
vo ishq nahīñ hai bul-havasī jo vasl kī chāhat kartā hai
baaqī hai farāsat ab tak bhī itnī to tire dīvāne meñ
duniyā kī ināyat hai utnī har gaam bichhātī hai kāñTe
ham rañg-e-hinā kaise bharte is ulfat ke afsāne meñ
kyuuñ ḳhaak meñ merī vasf nahīñ jis se mah-o-anjum sharmā.eñ
har aan ulajhtā jaatā huuñ is gutthī ko suljhāne meñ
phir rāz-e-ḳhudī e.azāz-ḳhudī parvāz-e-ḳhudī us se pūchheñ
'iqbāl' sā koī farzāna mil jaa.e agar anjāne meñ