ḳharāb-e-dīd ko yuuñ hī ḳharāb rahne de
koī hijāb uThā de naqāb rahne de
zamān-e-hijr sahī phir bhī ai junūn-e-ummīd
dimāġh meñ yahī rañgīn ḳhvāb rahne de
navāzisheñ na badal deñ kahīñ mizāj-e-vafā
nigāh-e-lutf meñ mauj-e-itāb rahne de
badal na hosh-e-parastish se masti-e-ulfat
tajalliyoñ pe fareb-e-naqāb rahne de
vufūr-e-husn ko asrār-e-dil-navāz sikhā
nazar-navāzi-e-rañg-e-shabāb rahne de
huzūr-e-husn hai bas arz-e-ishtiyāq 'suhā'
fasāna-e-dil-e-ḳhāna-ḳharāb rahne de