junūñ kī rasm zamāne meñ aam ho na sakī
havas thī chaah vafā kī ġhulām ho na sakī
likhe the dār-o-rasan jis kisī kī qismat meñ
phir us kī zulf ke saa.e meñ shaam ho na sakī
mirī udāsī kā baa.is shab-e-firāq nahīñ
basar ye raat ba-sad-ehtimām ho na sakī
mirī nigāh uThī hī rahī sū-e-jānāñ
tajalliyoñ meñ ghirī ham-kalām ho na sakī
ravā jahāñ ko ki majnūñ ko sañgsār kare
qabā-e-zīst junūñ kī niyām ho na sakī
ḳhirad kī baat bhī sunte kahāñ milī fursat
junūñ kī baat lahad tak tamām ho na sakī