jab tak ġhubār-e-rāh mirā ham-safar rahā
rasta to thā tavīl magar muḳhtasar rahā
har chand ho gayā hai surayyā se bhī buland
lekin shajar jafā kā sadā be samar rahā
ahl-e-junūñ ne toḌ diye vo hisār bhī
hosh-o-ḳhirad kā tesha jahāñ be-zarar rahā
ye mai-kada hai jaa.e ibādat hai riñd kī
duniyā kā har fareb yahāñ be asar rahā
fasl-e-ḳhizāñ meñ is kā koī tazkira nahīñ
sadiyoñ talak bahār kā jo rāhbar rahā