Marghoob Asar Fatmi

ab koi hujjat nahin iqrar ko inkar se

Marghoob Asar Fatmi

Aurangabad, Bihar, India

1951
ab koī hujjat nahīñ iqrār ko inkār se
ishq ne paalī farāġhat husn kī sarkār se
is adā-e-be-niyāzī par hai hairāñ aañkh bhī
aa ga.e dil meñ magar pūchhā na pahre-dār se
gard-ālūda thiiñ āñkheñ intizār-e-dost meñ
dhul rahī haiñ vasl meñ vo āñsuoñ kī dhaar se
vāpsī hogī vahīñ par is kā andāza na thā
nāchtā nañgā chalā thā aadmī jab ġhaar se
lafz meñ jaadū nahīñ hai ik haqīqat hai janāb
ham hifāzat kar rahe haiñ kāġhzī talvār se
nikhat-o-shādābī-e-gul hai chaman kā imtiyāz
aadmī pahchānā jaatā hai faqat kirdār se
mujh se us kī bad-gumānī garche poshīda nahīñ
baat bantī hai 'asar' kī bāhamī guftār se
Top Urdushayar.com