hai jitnā zarf mirā itnā hī sila denā
na aur kuchh tū umīdoñ kā silsila denā
mirī to arz-e-tamannā hai qadre pechīda
javāb denā ho mushkil to muskurā denā
kisī ġharīb kī dil-jūī bhī ibādat hai
hai nek kaam kisī rote ko hañsā denā
kuchh is qadar huī kamzor Dor rishtoñ kī
hai ek mo.ajiza TuuTe sire milā denā
tumhārā farz hai hālāt-e-hāzira pe 'asar'
ġhazal ke sheroñ meñ ik tabsira sunā denā