Marghoob Asar Fatmi

bas ek bar uThen samna hi kar Dalen

Marghoob Asar Fatmi

Aurangabad, Bihar, India

1951
bas ek baar uTheñ sāmnā hī kar Dāleñ
vabāl-e-jān hai Dar ḳhātma hī kar Dāleñ
qubūliyat ko sunā hai ki zid duā se hai
to kyuuñ na aisā kareñ bad-duā hī kar Dāleñ
khisakte lamhoñ se ye zindagī ne pūchh liyā
haqīr ham haiñ ki tum faisla hī kar Dāleñ
nishāt-o-kaif ke sāmān an-qarīb kahāñ
ab iḳhtisār-e-saf-e-madduā hī kar Dāleñ
irāda kar jo liyā tark-e-ḳhud-kalāmī kā
to yād-e-māzī kā ġham maktiba hī kar Dāleñ
'asar' zabān ko dushvāriyāñ bhī haiñ lāhiq
so ehtimām koī dūsrā hī kar Dāleñ
Top Urdushayar.com