Marghoob Asar Fatmi

aankhon ko ashk-bar kiya hai kabhi kabhi

Marghoob Asar Fatmi

Aurangabad, Bihar, India

1951
āñkhoñ ko ashk-bār kiyā hai kabhī kabhī
yuuñ terā intizār kiyā hai kabhī kabhī
mahshar ko darkinār kiyā hai kabhī kabhī
tujh par jo e.atibār kiyā hai kabhī kabhī
ḳhūn-e-jigar se ham ne guloñ ko nikhār kar
gulshan ko pur-bahār kiyā hai kabhī kabhī
us āstāna-e-nāz se nafrat bhī kī magar
sajda bhī baar baar kiyā hai kabhī kabhī
ham ne tumhārī yaad ke dāġhoñ se bhar ke dil
dil-gashta-e-bahār kiyā hai kabhī kabhī
saaqī ne de ke jaam kiyā ham ko shādmāñ
vaa.iz ne sogvār kiyā hai kabhī kabhī
'marġhūb' terī dī huī dīvāngī kā faiz
hastī ko taar taar kiyā hai kabhī kabhī
Top Urdushayar.com