Krishn Bihari Noor

jabin ko dar pe jhukana hi bandagi to nahin

Krishn Bihari Noor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1926-2003
jabīñ ko dar pe jhukānā hī bandagī to nahīñ
ye dekh merī mohabbat meñ kuchh kamī to nahīñ
hazār ġham sahī dil meñ magar ḳhushī ye hai
hamāre hoñToñ pe māñgī huī hañsī to nahīñ
miTe ye shub.h to a dost tujh se baat kareñ
hamārī pahlī mulāqāt āḳhirī to nahīñ
huī jo jashn-e-bahārāñ ke naam se mansūb
ye āshiyānoñ ke jalne kī raushnī to nahīñ
hayāt hī ke liye be-qarār hai duniyā
tire firāq kā maqsad hayāt hī to nahīñ
ġham-e-habīb kahāñ aur kahāñ ġham-e-jānāñ
musāhibat hai yaqīnan barābarī to nahīñ
ye hijr-e-yār ye pābandiyāñ ibādat kī
kisī ḳhatā kī sazā hai ye zindagī to nahīñ
tumhārī bazm meñ afsāna kahte Dartā huuñ
ye sochtā huuñ yahāñ koī ajnabī to nahīñ
Top Urdushayar.com