shauq-e-butān-e-anjuman-ārā liye hue
phirtā huuñ hashr meñ vahī duniyā liye hue
aatī hai kis dimāġh se ik ik nigāh-e-husn
dil meñ hazār fitna-e-barpā liye hue
yaad aa rahī hai un kī vo tajdīd-e-iltifāt
pahlū-e-sad-nadāmat-e-īfā liye hue
kis kī talāsh hai ki sar-e-tūr is tarah
aa.e ho mish.al-e-ruḳh-e-zebā liye hue
bebāk haiñ ki jaan ke pahchānte nahīñ
merī nigāh-e-rañg-e-tamannā liye hue
ab kyā ho kaif-e-ishq ki muddat guzar ga.ī
un ke laboñ se jura-e-sahbā liye hue
phir un ko chheḌtā huuñ ki arsa bahut huā
dil se kuchh intiqām-e-tamannā liye hue
dekhā ḳhirām-e-nāz 'suhā' jā rahe haiñ vo
pastī ko sū-e-ālam-e-bālā liye hue