Marghoob Asar Fatmi

un ke ruKH par jamal hai goya

Marghoob Asar Fatmi

Aurangabad, Bihar, India

1951
un ke ruḳh par jamāl hai goyā
ishq kā sab kamāl hai goyā
tere laa.eq nahīñ koī tashbīh
sādgī be-misāl hai goyā
baat sach thī unheñ garāñ guzrī
rāst-goī muhāl hai goyā
sab ko dutkārā ab mirī baarī
mujh pe bhī kuchh ḳhayāl hai goyā
kuchh na samjhe ki kyā hai ye duniyā
ek makḌī kā jaal hai goyā
garmi-e-ishq hind se sūraj
saarī duniyā pe laal hai goyā
jis ko sun kar haiñ mahv-e-hairat sab
vo 'asar' ḳhush-ḳhayāl hai goyā
Top Urdushayar.com