darmiyāñ aa rahī hai nafrat kyuuñ
jab gale mil ga.e shikāyat kyuuñ
aadmī tum bhī aadmī ham bhī
phir huī ḳhatm ādamiyat kyuuñ
ho gayā ishq aap ko shāyad
umr is meñ na.ī musībat kyuuñ
kaun rakh paayā māl-o-daulat ko
jaane vaale se ye mohabbat kyuuñ
thak gayā hai mirā sitamgar kyā
saañs le lene kī ijāzat kyuuñ
sab kī maa.eñ bhī beTiyāñ hī thiiñ
aaj beTī banī musībat kyuuñ
aap kā sher boltā hai 'asar'
ḳhud-satā.ī kī phir zarūrat kyuuñ