maz.hab-e-ishq ke irfān pe hairāñ niklā
qais jab dasht ko niklā to pareshāñ niklā
shiddat-e-shauq meñ sarmast-o-shādāñ niklā
ġham-rasīda bhī agar thā to ġhazal-ḳhvāñ niklā
un se milne kī tamannā liye Dartā hī rahā
dil ye kāfir mirā dar-parda musalmāñ niklā
shaam aa.ī to lab-e-la.alīñ kī shoḳhī le kar
mehr bikhrāte hue la.al-e-badaḳhshāñ niklā
jab ki parvāz-e-taḳhayyul ne bhī sūrat paalī
kitnā be-ma.anī sā ab taḳht-e-sulaimāñ niklā
jaane kab chupke se āñkhoñ ne dar-e-dil kholā
aayā ik baar to phir ghar se na mehmāñ niklā
ḳhvāb hī achchhe the TuuTe to huā ye ifshā
jis ko gulzār samajhte the bayābāñ niklā
qaidī-e-husn kī sarkār meñ peshī jo huī
ishq sarshār thā dīdār kā unvāñ niklā
dā.ere fikr ke mahdūd hoñ mumkin hī nahīñ
kab 'asar' mo'tarif-e-tañgī-e-dāmāñ niklā