Marghoob Asar Fatmi

hum to mashur the shiddat ke sabab bol uThe

Marghoob Asar Fatmi

Aurangabad, Bihar, India

1951
ham to mas.hūr the shiddat ke sabab bol uThe
vo but-e-sañg bhī mumkin hai ki ab bol uThe
phuul alfāz ke pheñke haiñ usī kī jānib
jaane vo jān-e-adā naaz se kab bol uThe
sāmnā un kā huā jab to thī nazreñ nīchī
be-qarārī meñ mire dast-e-talab bol uThe
qatl merā bhī huā aur shah-e-vaqt kā bhī
ik pe ḳhāmosh rahe ek pe sab bol uThe
uTh ke sahrāoñ se maġhrib ko hilā de āñdhī
yak-zabāñ ho ke agar arz-e-arab bol uThe
mutma.in kyuuñ haiñ javāñ chhātī pe patthar rakh kar
vaqt paḌne pe 'asar' koh ke lab bol uThe
Top Urdushayar.com