harīm-e-nāz se aatā hai bahra-var koī
dil ā.īna pe liye naqsh-e-fī-hajar koī
hisār-e-dard kī ūñchā.ī baḌhtī jaatī hai
ḳhushī kī āñdhiyāñ aa kar banā.eñ dar koī
paḌā hai yādoñ ke hujre meñ qufl muddat se
hanūz detā hai dastak sī mo'atabar koī
chamaktī raah to nazroñ se hai abhī ojhal
charāġh-e-charḳh kī miltī nahīñ ḳhabar koī
ye shaam Daale hue tan pe surma.ī chādar
gilā karegī siyah-shab se muḳhtasar koī
tamām ḳhvāhisheñ ḳhāshāk meñ huiiñ tabdīl
ghaḌī meñ sho.ala na kar de kahīñ sharar koī
tirī zabān se lipTī hai chāshnī-e-havas
kahāñ se aa.e tirī baat meñ 'asar' koī