Marghoob Asar Fatmi

dil ki duniya mein tujhe la ke main hairan kar dun

Marghoob Asar Fatmi

Aurangabad, Bihar, India

1951
dil kī duniyā meñ tujhe lā ke maiñ hairāñ kar duuñ
aa tujhe dard-e-mohabbat se farozāñ kar duuñ
chand lamhe jo mayassar hoñ sukūñ ke mujh ko
raah nikle to har ik dard kā darmāñ kar duuñ
inqilābāt vahī haiñ ki jo yaksar ubhreñ
gar ho taḳhrīb ġhadar naam meñ chaspāñ kar duuñ
us ke ghar jā.ūñ rahī jis se adāvat barsoñ
thoḌī taklīf sahī us ko pashemāñ kar duuñ
aarzū hai ki rahūñ zinda mohabbat ban kar
huuñ jahāñ dafn 'asar' us ko gulistāñ kar duuñ
Top Urdushayar.com