vo kaash vaqt ke pahre ko toḌ kar aate
jo mahv-e-ḳhvāb haiñ un ko jhiñjhoḌ kar aate
na uThtī koī nigāh-e-ġhalat sar-e-mahfil
vo apne jalve ko ghar apne chhoḌ kar aate
udaas āñkhoñ ko dekhā to ye ḳhayāl aayā
chaman ke phūloñ se shabnam nichoḌ kar aate
asā-e-mūsā kabhī haath lag gayā hotā
fir.aun-e-vaqt kā sar ham bhī phoḌ kar aate
agar thī chehre pe raunaq kī aarzū un ko
musībatoñ kī kalā.ī maroḌ kar aate
udhar na nikleñge vo nazar-e-bad kā ḳhadsha hai
ḳhabar ye hotī to ham āñkheñ phoḌ kar aate
sunā ki aaj bhī dānishvaroñ meñ ḳhuub machī
'asar' bhī aate to himmat baTor kar aate