na koī dar na darīcha magar makān to hai
zamīñ hai zer-e-qadam sar pe āsmān to hai
hazār jalvoñ kā to rāz-dāñ hai ā.īna
huī na aañkh mayassar tujhe zabān to hai
badaltā rahtā hai rañg āsmān lamhoñ meñ
sitam-shi.ār abhī mujh se ḳhush-gumān to hai
ġham-e-hayāt se ghabrā ke tajarbe ke liye
chale hī jā.eñge ab dūsrā jahāñ to hai
tamām sahrā-o-dasht-o-jabal kaheñ labbaik
azal se phailī fazāoñ meñ ik azaan to hai
zahe-nasīb jagah thoḌī chashm-e-tar meñ milī
sulagtī dhuup meñ ik sard sā.ebān to hai
mohr-ba-lab huuñ pa shart-e-kalām qaa.em hai
mirī shakeb-e-ayāzī kā imtihān to hai
sa.uud fikr-e-taġhazzul ko bojh hai to rahe
har ek harf haqīqat kā tarjumān to hai
asar ke sher meñ husn-o-kashīsh kī hai taujīh
na.ī jihat na sahī zeb-e-dāstān to hai