do aalam ke āfāt se duur kar de
ik aisī nazar chashm-e-maḳhmūr kar de
nasīb-e-mohabbat hai ab vo tamannā
unheñ jo taġhāful se māzūr kar de
tire qurb kī haa.e ye shaan kyā hai
jo idrāk-e-hastī se bhī duur kar de
koī kis tarah paa.e us ham-nashīñ ko
jise justujū manziloñ duur kar de
jamāl us ko kahiye ki partav hī jis kā
hijāboñ ko nūrun-alā-nūr kar de
na ab hosh kā bas na tāqat junūñ meñ
ki hāl-e-tabī.at ba-dastūr kar de
'suhā' jalva-e-shoḳh shādāb un kā
shabāb-e-gulistāñ ko be-nūr kar de