khetoñ ke beach phuul ke bistar ke ās-pās
mausam to aa ke baiTh mire ghar ke ās-pās
be-qaid-o-rañg kauñdtī rañgīn machhliyāñ
dekhī haiñ maiñ ne gaañv ke pokhar ke ās-pās
ye kyā huā ki aaj bahut tez dhuup hai
saaya milā na shāḳh-e-tanāvar ke ās-pās
sarsoñ ke kisht-zār meñ aisā lagā ki huuñ
fitrat kī chhiñT-dār sī chādar ke ās-pās
mujh ko na sat.h-e-āb pe kuchh bhī milā 'asar'
ġhota lagā ke pahuñchā huuñ gauhar ke ās-pās