Suraj Tanveer

apni ana ke gumbad-e-be-dar mein band hai

Suraj Tanveer

apnī anā ke gumbad-e-be-dar meñ band hai
lekin ba-zom-e-ḳhud vo falak tak buland hai
har manzil un ke vāste bas ik zaqand hai
vo log apnā azm hī jin kā samand hai
aatā hai baar baar fareb-e-ḳhulūs meñ
kyā sāda-lauh apnā dil-e-dard-mañd hai
jo iltihāb-e-ātish-e-ġham se hai nāla-kash
vo dil nahīñ chaTaḳhtā huā ik sipand hai
shāyad ma.āl-e-ḳhanda-e-gul hai nigāh meñ
lab par kalī kalī ke ajab zahr-e-ḳhand hai
har zī-hayāt is meñ rahe umr bhar asiir
tār-e-nafas bhī ek tarah kī kamand hai
shāmil haiñ talḳhiyāñ bhī halāvat ke saath saath
ye zindagī hai zahr-e-halāhal na qand hai
'tanvīr' shahr-e-sañg meñ shīshagarī kī baat
yārān-e-mehrbāñ ko bahut nā-pasand hai
Top Urdushayar.com