de sakegā na tumheñ phir koī āvāz kahīñ
merī hastī kā agar TuuT gayā saaz kahīñ
ishq mahkūm sahī bekas-o-majbūr sahī
husn tanhā bhī huā hai asar-andāz kahīñ
ġham-e-nā-qadrī-e-duniyā to nahīñ hai lekin
nigah-e-dost na kar de nazar-andāz kahīñ
ḳhāmī-e-zauq-e-talab ne hameñ rakkhā mahrūm
ye ġhalat hai na sunī ho tirī āvāz kahīñ
bahr-e-hastī meñ jo ubhrā to ubhārā tū ne
maiñ huā aap na ai dost sar-afrāz kahīñ
rañg māhaul-e-chaman se ye huvaidā hai 'saġhīr'
kaam aa.egī mirī jur.at-e-parvāz kahīñ