Saghir Ahmad Saghir Ahsani

ishq kya hai KHud-faramoshi musalsal iztirab

Saghir Ahmad Saghir Ahsani

ishq kyā hai ḳhud-farāmoshī musalsal iztirāb
husn kyā hai jalva-ārā.ī ba-andāz-e-hijāb
ruuh muztar dil pareshāñ chashm hai mahrūm-e-ḳhvāb
maiñ bahut masrūr huuñ ai ishq tū hai kāmyāb
jaañ nisāroñ par tumhāre raaz ye ifshā huā
maut lutf-e-sarmadī hai ziist yaksar iztirāb
chāk-dāmānī kā ġham hai ab na kuchh fikr-e-rafū
kar chuke dīvāne tum se zindagī kā intisāb
gul fasurda hoñ ḳhas-o-ḳhāshāk meñ bālīdgī
bāġhbāñ aisā to aayā thā na pahle inqilāb
do-jahāñ meñ sirf ye hai ishq kī daulat 'saġhīr'
sīna-e-pur-dāġh chashm-e-tar dil-e-hasrat-ma.āb
Top Urdushayar.com