jab chale jā.eñge ham lauT ke sāvan kī tarah
yaad ā.eñge pratham pyaar ke chumban kī tarah
zikr jis dam bhī chhiḌā un kī galī meñ merā
jaane sharmā.e vo kyuuñ gaañv kī dulhan kī tarah
mere ghar koī ḳhushī aatī to kaise aatī
umr-bhar saath rahā dard mahājan kī tarah
koī kañghī na milī jis se sulajh paatī vo
zindagī uljhī rahī bramhā ke darshan kī tarah
daaġh mujh meñ hai ki tujhmeñ ye pata tab hogā
maut jab aa.egī kapḌe liye dhoban kī tarah
har kisī shaḳhs kī qismat kā yahī hai qissa
aa.e raaja kī tarah jaa.e vo nirdhan kī tarah
jis meñ insān ke dil kī na ho dhaḌkan 'nīraj'
shā.irī to hai vo aḳhbār ke katran kī tarah