hai bahut andhiyār ab sūraj nikalnā chāhiye
jis tarah se bhī ho ye mausam badalnā chāhiye
roz jo chehre badalte haiñ libāsoñ kī tarah
ab janāza zor se un kā nikalnā chāhiye
ab bhī kuchh logo ne bechī hai na apnī aatmā
ye patan kā silsila kuchh aur chalnā chāhiye
phuul ban kar jo jiyā hai vo yahāñ maslā gayā
ziist ko faulād ke sāñche meñ Dhalnā chāhiye
chhīntā ho jab tumhārā haq koī us vaqt to
aañkh se aañsū nahīñ sho.ala nikalnā chāhiye
dil javāñ sapne javāñ mausam javāñ shab bhī javāñ
tujh ko mujh se is samay suune meñ milnā chāhiye