ab to maz.hab koī aisā bhī chalāyā jaa.e
jis meñ insān ko insān banāyā jaa.e
jis kī ḳhushbū se mahak jaa.e paḌosī kā bhī ghar
phuul is qism kā har samt khilāyā jaa.e
aag bahtī hai yahāñ gañgā meñ jhelam meñ bhī
koī batlā.e kahāñ jā ke nahāyā jaa.e
pyaar kā ḳhuun huā kyuuñ ye samajhne ke liye
har añdhere ko ujāle meñ bulāyā jaa.e
mere dukh-dard kā tujh par ho asar kuchh aisā
maiñ rahūñ bhūkā to tujh se bhī na khāyā jaa.e
jism do ho ke bhī dil ek hoñ apne aise
merā aañsū terī palkoñ se uThāyā jaa.e
giit anman hai ġhazal chup hai rubā.ī hai dukhī
aise māhaul meñ 'nīraj' ko bulāyā jaa.e